donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Obaidullah Aleem
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dua dua voh chehra *
dua dua voh chehra
haya haya voh aankhaiN
saba saba voh zulfaiN

chaley lahoo gardish maiN
rahey aankh maiN dil maiN
basey mere KhuvabooN maiN
jaley akailey_pun maiN
miley her ik mehfil maiN
kabhi kisi chilman ke peechey
kabhi kisi daraKht ke neechey
kabhi voh haath pakartey
kabhi hava se dartey
kabhi voh baaish andar
kabhi voh mauj samandar
kabhi voh suraj Dhaltey
kabhi voh chaand nikaltey
kabhi Khayal ki rau maiN
kabhi chiragh ki lau maiN

kabhi baal sukhaey aangan maiN
kabhi maang nikaley darpun maiN
kabhi jaley pavan ke paaon maiN
kabhi hansey dhoop maiN chahoon maiN
kabhi pagal pagal nainooN maiN
kabhi chaagal chaagal seenooN main
kabhi pholoon phool voh thalee maiN
kabhi diyooN bharee divali maiN
kabhi saja hoa aainey maiN
kabhi dua bana voh zeenooN maiN
kabhi apney app se jangooN maiN
kabhi jeevan mauj tarangooN maiN
kabhi naghma_noor fizaooN main
kabhi maula hazoor duaooN maiN
kabhi rukey hoey kisi lamhey maiN
kabhi dukhey hoey kisi chehrey maiN
vohi chehra bolta rehta hooN
vohi aankhaiN soochta rehta hooN
vohi zulfaiN dekhta rehta hooN
dua dua voh chehra 
haya haya voh aankhaiN
saba saba voh zulfaiN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 494