donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Owais Zameer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* In Labon Ki Muskurahat... *
In Labon Ki Muskurahat...
In labon ki muskurahat rahate dil
bekhudi mein bosae shab hasrate dil !
Kaj adaen aur jafaen wahshate jaan
Naam tera tha nishane turbate dil
Tum na yoon rootha karo ab baat be baat
Seh sakoon ga kab talak yeh shamate dil
Aik hi sa-at ko dildharka nahin tha
Intihae Jaan woh ek hi sa-ate dil
Dil dikhao cheer kar apna, kaha to
Khud hi phir dekhi gai na haalate dil
Waqt bhi jab hijr mein tham sa gaya tha
Ho thami shayad jabhi yeh harkate dil
Ab malamat nafs ki bhi dheemay dheemay
Kay gawara kar sakay jo sehhate dil
Gham kisi ka bhi dikha ro ro utha yeh
Ho chuki kuch aisi hi bas adate dil
Is judai se bara kya hai sitam aur ?
Khamushi se seh isay bhi, himmate dil !
Jaan sitam kya kya na sehti seh chali thi
Gharq gham kya kya hue na wahshate dil !
Husn tera tha kabhhi to noore dil bhi
Phir bana tera sitam hi zulmate dil
Dil Owys-e ghamzada ka jab thame to
Raqm ho shayad tabhi yeh baabate dil..
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363