donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Owais Zameer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gar tumheiN is par yaqeeN to phir chale aao yahaaN ! *
Yaqeen

Gar tumheiN is par yaqeeN to phir chale aao yahaaN !
kuch baeed-e qais ki ab bhi puhaNch se hai nahiN
jooay sheer ik khod Daale kohkan ab bhi yahiN
na mile mumkin-o-na mumkin ki sarhad phir kahiN
raqm ho ik lazawaal-o-aafreeN phir daastaN !
Gar tumheiN is par yaqeeN to phir chale aao yahaaN !
kya hai aisa jo muhabbat na sake kar ke dikha
dastaras meiN hai sabhi, iski koi na intiha
jo na manTaq kar sake hal, na khirad paaey samaa
lamha-e waahid laga jaaey yeh jast-e bekaraaN
Gar tumheiN is par yaqeeN to phir chale aao yahaaN !
gar muqaabil ishq to phir tadbeer hai kis kaam ki
na jise Dar mout ka, kya fikr isay anjaam ki
phir zamane ki houN taazeereiN ke gard aalaam ki
zulmat-e zindaaN ho ya jabr-o-sitam ki bayRiyaaN !
Gar tumheiN is par yaqeeN to phir chale aao yahaaN !
ho muhabbat ka shajar jouN jouN tawaana aur jawaaN
ishq jab hai douRta ban ban phiray rooh-e rawaaN
kyuN nichaawar ishq par aise na phir ho jism-o-jaan
ishq par hai na zamaaN ki, na isay qaid-e makaaN !
Gar tumheiN is par yaqeeN to phir chale aao yahaaN !
aao phir mein aur tum toofan har jaaeeN guzaar
paar kar jaaeN har ik hi behr-e naar-o dasht-e khaar
raiza raiza har rukaawaT, saath gar hai mera yaar
haiN amar jab ishq hai ! chaahe kaThin ho imtihaaN
Gar tumheiN is par yaqeeN to phir chale aao yahaaN !
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372