donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Owais Zameer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man? *
EID KI KHUSHYAAN !

Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

Aisa nahiN ke jo bahakti marmareeN hathoN meiN hoN
BateN khanakti na Karen who chooRiaN shokhi bhari
Uljhaey na naqsh-e hina, behkaey na teri mehak
Na ho adaa dikash teri, na ho nazar masti bhari
ChaRhney magar manzar na dey tera nasha ae jaan-e-man!
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

GhamgeeN haiN kitnay khandaaN, ujRay haiN kitnay hi diyaar
Apnay watan meiN be watan, apne hi ghar meiN be amaaN
Laasha uThaey apna hi kitnay phiray haiN sogwaar
Kya kya qiyamat jhel kar kitnay miTa baiThay nishaaN
Kis baat ki in ko mili hai yaaN saza ae jaan-e-man?
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

Mehnat kashoN ka ab lahoo bhi na ragoN meiN kuch bacha
Iflaas ki chakki pise mazdoor sab, dehqaan sab
Ghurbat meiN jo bhookay mareN hasrat ke le aankhoN meiN khwaab
Chehray koi in ke bhi haiN, zi jaan sab, insaan sab
Ummeed-e farda naam per kya kya saha ae jaan-e-man!
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

Yeh sab waDeray, choudry, sardar aur ik ik malik
Hathoun meiN jinke mulk ka arsay se hai saara nizam
Jin ke bharay a’ali mehal sab looT ke bas maal se
Jatthay gidhoun ke! Noch ke jo kha gaey na’sh-e awaam
Yeh kab talak ban kar phireN jhooTay khuda ae jaan-e-man?
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

Ayyaam se phir haar kar bikti kaheeN dukhtar koi
Halaat se majboor ho karti koi hai khud kushi
Zinda dafan, zindaaN dakhal, kaari, wani is ka naseeb
Had se agar bach jaey to mar mar jeay ik be basi
Kyun jurm hai itna wujood-e-zan baRa ae jaan-e-man?
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

Aabaa the apne ghairat-e islaam se sarshaar ke
Woh Ibn-e- Qaasim paar karta aa chala sehra tamaam
Ham par magar na Aafia ki aah ka kuch bhi asar
Aghyaar ke haathoN biki ghairat bhi apni kya tamaam?
Aai kisi ko bhi nahiN us ki sada ae jaan-e-man?
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

Jis deen ka maqsad jihaalat se kabhi aazadi tha
Islaam ke is naam par kya kya dukaaN hai khul gai
Ab lafz ki taqdees gum aur kho chukka hurmat qalam
Har dars se mafqood ab ilm-o shau’r-o aagahi
Muslim juhad par Daal kar mujh ko jagaa ae jaan-e-man!
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

Jab ehtisaab-e qoum ka Dar na kisi zaalim ko ho
Zulm-o jabar sehne ki aadat ho gai jab aam ho
Jab inqilaab-e haq ki ik bhi na ramaq baaqi rahe
Ho murdni chaai hui aur zindagi neelam ho
Is raakh meiN DhoonDoN sharar kaise bhala ae jaan-e-man?
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?

Ik aur dhamaaka to kaheeN phir kya hua ae jaan-e-man?
Meri samaa’t sun hui! too ne suna ae jaan-e-man?
Dekha kisi ne ke lahoo kitna bahaa ae jaan-e-man?
Ghar kya bacha, kya too bachi, kya meiN bacha ae jaan-e-man?
Ya maar kar ab khud hi ko meiN mar gaya ae jaan-e-man?
Kaise manaooN eid ki khushyaaN bata ae jaan-e-man?
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 463