* Jala diyaa shajar E jaaN, K sabz bakht na tha *
Jala diyaa shajar E jaaN, K sabz bakht na tha
Kisi bhi rut me haraa ho ye wo darakht na tha
Jo khaab dekha tha shahzaadiyoN ne pichhle pahar
Phir us ke baad muqaddar me taaj O takht na tha
Zara se jabr se maiN bhi to toot sakti thi
Meri tarah se tabi’at ka woh bhi sakhta na tha
Andheri raatoN ke tanhaa musaafiroN k liye
Diyaa jalata hua koi saaz O rakht na tha
Mere liye to wo khanjar bhi phool ban ke uThaa
Zabaan sakht thi, lehjaa magar karakht na tha
Gaye wo din k mujhi tak tha mera dukh mahdood
Khabar ke jaisaa ye afasaana lakht lakht na tha
*** |