donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Parwez Baghi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Purkho.n kii rivaayat hai ise tum bhii nibhaao *
Purkho.n kii rivaayat hai ise tum bhii nibhaao,
pyaaso.n ko samandar se bahut duur basaao,

[rivaayat = tradition]

yuu.N fikr me.n har shaKhs kii Khud ko na ghulaao,
jiinaa hai to phir dil ko bhii patthar kaa banaao,


ye yaad rahe zulm kii had hotii hai yaaro,
tum ham ko sataao magar itanaa na sataao,


har Khvaab-e-kohan tishnaa-e-tasviir hai jab tak,
tum ko_ii nayaa Khvaab na logo.n ko dikhaao,

[Khvaab-e-kohan = old dream; tishnaa = thirst]
[tishnaa-e-tasviir = waiting to be realized]

jaage huye sone pe razaamand nahii.n hai.n,
soye huye logo.n ko na 'Parwez' jagaao.

 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 401