donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Pinha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Insaan ke bakhiye to gaye saare udhar se *
Insaan ke bakhiye to gaye saare udhar se
Duniya meri badtar hui bhooto'n ke khandar se

Lagta hai ke qad barh gaya par qad nahi'n barhta
Ab ke bhi to malboos gaye dhal ke sukarh se

Nafrat hai mujhe jang se phir jang na chhir jaaye
Cho'nk uthti hoo'n bartan bhi jo takrate hai'n kharh se

Patthar na bana de mujhe mausam ki yeh sakhti
Mar jaye'n mere khawab na tabeer ke dar se

Lagta hai ke insaan ka dil hai na zameer ab
Mai'n kaise karoo'n ishq faqat chehre se dharh se

"Pinha" ye zami'n sakht, ghazal phir bhi mulayam
Patthar se jawab eint ka deti nahi'n tarh se
					1752, Alpine Dr. Carrolton
					TX75007 (U.S.A)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 485