donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ab guzaara nahi.n us shokh ke dar par apna *

ab guzaara nahi.n us shokh ke dar par apna
jis ke ghar ko ye samajhte the ki hai ghar apna
kucha-e-dahr me.n ghafil na ho paaband-e-nashist
rahguzar me.n koi karta nahi.n bistar apna
gham-zada uTh gaye duniya hi se ham aakhir aah
zaanu-e-gham se va-lekin na uThaa sar apna
dekhe.n kya lahja-e-hasti ko ki juu.n aab-e-ravaa.n
yaa.n Thaharna nazar aata nahi.n dam bhar apna
gar malu.n mai.n kaf-e-afsos to ha.nsta hai vo shokh
haath me.n haath kisi shakhs ke de kar apna
vaa.e qismat ki rahe log bhi us paas na vo
zikr laate the kisi Dhab se jo akasr apna
zabah karna tha to phir kyuu.n na miri gardan par
zor se pher diya aap ne khanjar apna
niim bismil hi chale chhod ke tum kyuu.n pyare
zor ye tum ne dikhaya hame.n jauhar apna
kya kare.n dil jo kahe me.n ho to ham aye 'jurat'
na kahi.n jaaye.n ki hai sab se bhala ghar apna


******************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 299