bin tere kya kahe.n kya rog hamei.n yar laga
Dar lage naam liye jis ka wo aazar laga
sab ye kahte hai.n mujhe tujh se jo dil yar laga
hae kya is ko jawani mei.n ye aazar laga
hum diwano.n ka ye hai dasht-e-junu.n mei.n rutba
ki qadam rakhte hi aa pa.nw se har khaar laga
kahiye kyu.nkar na use baadshah-e-kishwar-e-husn
ki jaha.n ja ke wo baiTha wahi.n darbar laga
qadr phir apni ho kya us ke kharidaro.n mei.n
roz-o-shab jis ki gali mei.n rahe bazar laga
kaun sa din wo kaTa mujh pe ki ai tegh-e-firaq
zakhm ek taza mere dil pe na har bar laga
dil mei.n ab us ke jo lahr aai hai ghar jaane ki
tu bhi rone ki jhaDi dida-e-khuu.n-baar laga
muttasil tu jo mera khuun-e-jigar pita hai
kyu.n gham-e-ishq ye kya tujh ko mazedar laga
tez-dasti-e-junu.n aaj hai aisi hi ki bas
na raha apne gareba.n mei.n koi tar laga
is zami.n mei.n ghazal ek aur bhi paDh ai 'jurat'
khoob andaz ke ab kahne tu ashaar laga
*****************