dam mei.n hum ko late ho tum dil aTka hai aur kahi.n
sher paDhane hum se aur mazmun gaTha hai aur kahi.n
aankhen zara milana idhar ko kyun ji ye kya baaten hai.n
baat ki hum se uThani lazzat ji ka maza hai aur kahi.n
haq to hai kuchh haal-e-dil apna kahte hai.n jab tum se hum
kaan lagae sunte ho par dhyan laga hai aur kahi.n
dekhiyo ye ayyari koi kya kya hum ko lapeTe mei.n
wo but-e-pur-fan leta hai dil jis ne diya hai aur kahi.n
Tok ke us se baat karu.n to yu.n wo kahe hai chitwan mei.n
mujh ko na chheDo dhyan aji is waqt mera hai aur kahi.n
hum se zabani milne ko tum kahte ho hum jaante hai.n
dil se par aane jaane ka iqrar kiya hai aur kahi.n
dekh ke hum ko jo kahte ho tum aao baiTho baat karo
baate.n ye sab zahir ki hai.n uns hua hai aur kahi.n
ab to kuchh hamdard se mere aate ho tum mujh ko nazar
tum sa shayad koi pyare tum ko mila hai aur kahi.n
baiThe ho mujh pas wa-lekin ghabrane se nikle hai
aankh bacha kar uTh jaane ka dhyan bandha hai aur kahi.n
zahir mei.n tum kahte ho mujh ko baiTho abhi to jao na ghar
mujh ko to malum hai jo paigham gaya hai aur kahi.n
baate.n kar ke lagawaT ki ye kafir huu.n gar jhuT kahu.n
dil ko mere tum lete ho ji naam-e-Khuda hai aur kahi.n
haif hai us ke hone par jo yaad karo tum ghair ko jaa.n
'jurat' mei.n jo nahi.n so aisi baat wo kya hai aur kahi.n
***************