dekhiyo us ki zara aankh dikhane ka maza
chitwano.n mei.n hai bhara sare zamane ka maza
kis maze se hai aya.n duzdi-e-dil hai zalim
lu.n chara kyu.nki tere aankh churane ka maza
lazzat-e-wasl koi puchhe to pi jata hu.n
kah ke honTo.n hi mei.n ho.nTo.n ke milane ka maza
kya tere mai-kash-e-ulfat ka ye kaifiyyat hai
dard-e-dil kar ke baya.n rone rulane ka maza
dast-bar-dil ho uThata hun ajab lazzat-e-dard
yaad kar hijr mei.n wo hath baDhane ka maza
jo khamoshi mei.n hai lazzat nahi.n goyai mei.n
be-khudi sa hai kaha.n aap mei.n aane ka maza
us ke laDne ke bhi sadqe ki nazar aata hai
ain ranjish mei.n ajab aankh laDane ka maza
khwab-o-khuur se tere bimar ko kya kaam ki hai
lazzat-e-khwab na kuchh is ko na khane ka maza
yaad aata hai to jata hun khuda jaane kaha.n
wo lagawaT ki nigaho.n mei.n bulane ka maza
kya kahu.n wasl ki shab le ke balae.n us ki
kya uThata hun main zanu pe biThane ka maza
mai.n to phir aap mei.n rahta nahi.n dil se puchho
aage phir bhench ke chhati se lagane ka maza
dar pe us parda-nashi.n ke ho to ba-saut-e-buland
sher us waqt hai 'jurat' se paDhane ka maza
******************