donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ab ishq tamasha mujhe dikhlaye hai kuchh aur *

ab ishq tamasha mujhe dikhlaye hai kuchh aur
kahta huu.n kuchh aur mu.nh se nikal jaaye hai kuchh aur
naseh ki himaqat to zara dekhiyo yaaro
samjha huu.n mai.n kuchh aur mujhe samjhaye hai kuchh aur
kya dida-e-khuu.n baar se nisbat hai ki ye abr
barsaye hai kuchh aur vo barsaye kuchh aur
rone de, ha.nsa mujh ko na hamdam ki tujhe ab
kuchh aur hi bhaata hai mujhe bhaaye kuchh aur
paighambar aaya hai ye ausan gaivaye
poochhu.n huu.n mai.n kuchh aur mujhe batlaye hai kuchh aur
'juraat' ki tarah mere havaas ab nahi.n bar ja
kahta huu.n kuchh aur mu.nh se nikal jaaye hai kuchh aur


ٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌٌ۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 255