gar kahu.n ghair se phir rabt hua tujh ko kya
kya bura man ke kahta hai bhala tujh ko kya
sar uThana tujhe baali.n se jo dushwar hai ab
kyu.n dila baiThe-biThae ye hua tujh ko kya
puchhun ranjish ka sabab us se to jhunjhla ke kahe
gar Kkhafa hun to mai.n hun aap ko, ja tujh ko kya
hum asiran-e-qafas kya kahe.n khamosh hai.n kyu.n
rah le apni chal ai baad-e-saba tujh ko kya
gar kiya us se juda mujh ko to kah de ye falak
mere aur us ke na milne se mila tujh ko kya
hath uThata nahi.n gar ishq se mai.n ai naseh
tu nasihat se meri hath uTha tujh ko kya
gar kaho nam-e-khuda lagte ho tum kya hi bhale
to ye kahta hai bhala hu.n to bhala, tujh ko kya
kyu.n dila bistar-e-gham par hai tu khamosh paDa
kuchh to kah mujh se kisi ne ye kaha tujh ko kya
ab wo mauquf hua nama-o-paigham bhi aah
harf ghairo.n ka asar kar hi gaya tujh ko kya
mere milne se kiya mana kisi ne jo tujhe
tu ne is baat ko sun kar na kaha tujh ko kya
paik-e-ashk aankho.n se chal nikle jo khat paDhte hi
'jurat' ab kuchh tu bata us ne likha tujh ko kya
*****************