gham ro ro ke kahta hu.n kuchh us se agar apna
to ha.ns ke wo bole hai miya.n fikr kar apna
rone se tere kya kahe.n ai dida-e-khuu.n-bar
ye khak mei.n milta hai dil apna jigar apna
gar baiThte hai.n mahfil-e-khubaa.n mei.n hum us bin
sar zanu se uThta nahi.n do do pahar apna
lana hai to hamdam use la jald ki hum ko
ahwal nazar aae hai nau-e-digar apna
baaton se kaTe kis ki bhala rah hamari
ghurbat ke siwa koi nahin ham-safar apna
aalam mein hai ghar ghar KHushi-o-aish par us bin
matam-kada hum ko nazar aata hai ghar apna
ya aankhon se ek aan na hota tha wo ojhal
ya jalwa dikhata nahin ab ek nazar apna
har baat ka behtar hai chhupana hi ki ye bhi
hai aib kare koi jo zahir hunar apna
gar ru-ba-ru us ke kisi gham-khwar ko chupke
kuchh haal sunata hun main ba-chashm-e-tar apna
to kya kahun kahta hai ajab shakl se mujh ko
kuchh honTon hi honTon mei.n wo mu.nh pher kar apna
kya kya use dekh aati hai 'jurat' hamei.n hasrat
mayus jo phir aata hai paigham-bar apna
****************