ab khaaak to kiya hai dil ko jala jala kar
karte ho itni baate.n kyu.n tum bana bana kar
aashiq ke ghar ki tum ne buniyaad ko biThaya
ghairo.n ko pas apne har dam biTha biTha kar
ye bhi koi sitam hai ye bhi koi karam hai
ghairo.n pe lutf karna hum ko dikha dikha kar
ai but na mujh ko hargiz kooche se ab uThana
aaya hoo.n ya.n talak mai.n zalim Khuda Khuda kar
deta hu.n mai.n idhar ji apna taDap taDap kar
dekhe hai wo udhar ko aankhe.n chura chura kar
koi aashna nahi.n hai aisa ki ba-wafa ho
kahte ho tum ye baate.n hum ko suna suna kar
jalta tha siina mera ai shama tis pe tu ne
duni lagai aatish aansu baha baha kar
ek hi nigah kar kar siine se le gaya wo
har-chand dil ko rakkha hum ne chhupa chhupa kar
jurat ne aakhir apne ji ko bhi ab ganwaya
in be-murawwato.n se dil ko laga laga kar
*********************