hum kab az-khud tere ghar yar chale aate hai.n
rah nahi.n sakte to na-chaar chale aate hai.n
le khabar us ki shitabi se ki aashiq ko tere
ghash pe ghash shokh sitamgar chale aate hai.n
mai.n to hairan hu.n matab hai ki dar-e-yar hai ye
ya.n to bimar pe bimar chale aate hai.n
ghar mei.n ghabraate hai.n be-yar to hum wahshi se
sar-barahna sar-e-bazar chale aate hai.n
khaDe rah sakte nahi.n dar pe to hairan se wa.n
baiTh kar hum pas-e-diwar chale aate hai.n
kis ke nalo.n ki ye aandhi hai ki shakl-e-par-e-kah
aaj uDte hue kohsar chale aate hai.n
******************