donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* na garmi rakhe koi us se khudaya *

na garmi rakhe koi us se khudaya

shararat se ji jis ne mera jalaya

na bechain ho koi ab us ki khatir

mera chahna jo na khatir mei.n laya

baham dekh do shakhs ho wo bhi muztar

akela mai.n jis ke liye tilmilaya

phire justuju mei.n na ab koi us ki

mujhe jis ne galiyo.n mei.n barso.n phiraya

na bhule se yaad ab kare koi us ko

mera yaad karna bhi jis ne bhulaya

na khush ho ab us pas baiThe se koi

hamei.n kar ke aazurda jis ne uThaya

kharidar paida na ho koi us ka

ki dil bech kar hum ne dukh jis se paya

tahayyur ho dekh aaina us ko jis ne

hamei.n kar ke haira.n na mukhDa dikhaya

lage lag us se kisi ki na ya-rab

hamari lagi ko na jis ne bujhaya

kahu.n dasta.n mai.n gar apni aur us ki

to haira.n ho sun ke apna paraya

ki pahle ki izhaar khud us ne ulfat

na aaya to sau bar ghar se bulaya

jatai.n wo baate.n jinhe.n sehr kahiye

dikhaya wo aalam ki wahshi banaya

rakhi be-takalluf mulaqat chande

ba-mannat mujhe pas pahro.n biThaya

kisi ka na ek harf khatir mei.n guzra

use garche logo.n ne kya kya paDhaya

so ab wo jhalak tak dikhata nahi.n hai

gaya mai.n jo ghar se to dar tak na aaya

lagawaT ye kuchh kar ke phir kya ghazab hai

mera lag gaya dil to parda lagaya

ba-taghir-e-bahr aur 'jurat' ghazal kah

ki ye turfa mazmoon tu ne sunaya

******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 212