donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* shab-e-hijra.n mei.n mat puchho ki kin baato.n mei.n rahta hu.n *

shab-e-hijra.n mei.n mat puchho ki kin baato.n mei.n rahta hu.n

tasawwur bandh us ka subh tak kuchh kuchh mai.n kahta hu.n

jo dekho ghaur kar to juz o kul bilkul mujhi mei.n hai

kabhi hun ek hubab-asa kabhi dariya ho bahta hu.n

tere rukne se pyare bas mera dam rukne lagta hai

nahi.n to bolta tu boliya.n kin kin ki sahta hu.n

nahi.n milti hai fursat ghair use ghere hi rahte hai.n

kahu.n kuchh haal-e-dil bas DhunDhta itna subahta hun

ye josh-e-ashk ne tufa.n uThaya hai ki ai 'jurat'

kahe hai kishwar-e-tan mei.n tu koi dam ko Dhahta hu.n


*********************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 223