donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* amal kuchh aisa kiya adu ne ki ishq baham laga chhuDaya *

amal kuchh aisa kiya adu ne ki ishq baham laga chhuDaya

ilahi chhuT jaen us ki nabze.n milap jis ne mera chhuDaya

na baiThe aaram se wo gahe uThae nit dukh pe dukh Khudaya

ki jis ne nahaq uTha ke bohta.n apna wa.n baiThna chhuDaya

ilahi mahrum rakhiyo us ko mudam lazzat-e-do-jaha.n se

asir-e-dam-e-firaq kar mujh ko jis ne mera maza chhuDaya

na dosti ka use mile phal na koi marbut howe us se

ki jis ne kar dushmani Khudaya jo rabt aapas mei.n tha chhuDaya

urus-e-giti samajh ke us ko zalil hargiz na mu.nh lagawe

ilahi aqd-e-mohabbat us se ye jis ne mera bandha chhuDaya

chhuTe gareba.n us ka gahe na panja-e-ranj se Khudaya

ki daman-e-wasl hath apne se jis ne us shokh ka chhuDaya

ilahi zindan-e-gham se pawe na jite-ji wo kabhi rihai

ki jis ke bahkae se ab us ne dil apna hum se phansa chhuDaya

lahu jo mushtaq wasl ka tha chhuTa na qadmo.n se us ke hargiz

agarche dho dho ke us ne kitna ba-shakl-e-rang-e-hina chhuDaya

kahe hai 'jurat' yahi ba-takrar dard-e-hijran se hath mal mal

ilahi chhuT jaen us ki nabze.n milap jis ne mera chhuDaya


*****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 283