jigar khuun ho ke bahar dida-e-girya.n aawega
yahi rona raha to aaj-kal tufa.n aawega
khabar aate hi puchhe hai zalim baiTh ja yak-dam
haqiqat sab kahu.nga mujh mei.n jab ausa.n aawega
na hai ab khak-afshani na hairani na uryani
junu.n gar aa gaya to le ke sab sama.n aawega
paDhunga pichhe nama mei.n khuda ke waste qasid
ye kah awwal ki ya.n tak wo kisi unwan aawega
na ja ai jaan Tuk tu aur bhi ek raat is tan se
suna hai kal ke din wo ghar mere mehma.n aawega
kisi ki qadar jite-ji nahi.n malum hoti hai
kare hai qatl par pichhe tujhe arma.n aawega
gali mei.n us but-e-khu.n-khwar ki 'jurat' chala to hai
wa-lekin wa.n se khuu.n mei.n dekhna afsha.n aawega
******************