josh-e-girya ye dam-e-rukhsat-e-yar aae nazar
abr-e-joshan ka bandha jaise ki tar aae nazar
rang-e-gulzar jaha.n garche hazar aae nazar
chain par dil ko kaha.n taki na yar aae nazar
apna jab ku-e-tasawwur mei.n guzar aae nazar
jis taraf dekhe.n udhar surat-e-yar aae nazar
hun mai.n kis ghairat-e-gulzar ka zakhmi ki mere
har bun-e-mu pe gul-e-zaKHm hazar aae nazar
bin paDhe phaD ke khat rakh de jo wo rauza.n mei.n
ju.n qalam sina mera kyu.n na figar aae nazar
ham-sukhan jis se na ho sakiye phir us shokh se aah
aur kuchh baat ka kab dar-o-madar aae nazar
ho jaha.n jumbish-e-lab ka bhi na yara ai wae
mu.nh kaha.n ye ki jo wa.n bos-o-kanar aae nazar
hum dil-afrokhta wa.n ju.n sharar-e-sang hai.n aah
na jaha.n paik-e-saba ka bhi guzar aae nazar
sar-bulandi jinhe.n de charkh na de chain unhe.n
ki ba-gardish mah-o-khuur lail-o-nahaar aae nazar
jab ki har roz kaTin wade pe ghaDiya.n ginte
kyun na har din hamei.n phir roz-e-shumar aae nazar
us ke mahram pe bhabuka si jo dekhu.n chiDiya
kyu.n na ju.n tair-e-simab qarar aae nazar
ho ba-sad-rang shagufta lab-e-dariya pe wo bagh
har rawish jis mei.n ki bas lutf-e-hazar aae nazar
chaar su naghma-sarai mei.n ho.n murghan-e-chaman
shakh-dar-shakh ajaib gul-o-bar aae nazar
mauj-e-dariya idhar aTkheli ki chaale.n dikhlae
aur udhar raqs-kuna.n baad-e-bahaar aae nazar
howe atraf se ghanghor ghaTa ghir aai
kaund bijli ki ho aur paDti phuwar aae nazar
ek taraf mor munDero.n pe kare.n kya kya shor
ek taraf abr mei.n baglo.n ki qatar aae nazar
gardish-e-jam ho ju.n gardish-e-chashman-e-buta.n
hath mein mutrib-e-sar-khush ke sitar aae nazar
lab-ba-lab sina-ba-sina jise chahe.n wo ho
gulshan-e-zist ki tab hum ko bahaar aae nazar
aashiqana ghazal ab paDh koi 'jurat' tah-dar
mani-e-taza bhi ta yaro.n ko yar aae nazar
*******************