donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* lab o danda.n ka tumhaare jo hai dhyan aaTh pahar *

lab o danda.n ka tumhaare jo hai dhyan aaTh pahar
nahi.n lagti meri talu se zaba.n aaTh pahar
rawish-e-sair wo gulshan mei.n jo Tuk ja baiThe
bulbule.n gul ke uThaya kare.n ka.n aaTh pahar
dar se ab nikle wo kyu.n us ko to ye hai manzur
ki nikalti hi kisi ki rahe jaan aaTh pahar
kyu.n-ki KHu.n-rez rahe tez na wo tegh-e-nigah
sang-e-surma se chaDha karti hai san aaTh pahar
kahte hai.
n sab tere aashiq ko ki shayad ai wae

hai giraftar-e-musibat ye jawa.n aaTh pahar
dil ke lagne se ye dekha ki lage rahte hum aah
KHud-baKHud muztarib-ul-haal nada.n aaTh pahar
jis ka hai dhyan hamei.n us ko bhi apna hai KHayal
wae ghaflat ki ye hum ko hai guma.n aaTh pahar
husn-e-KHubi-e-buta.n kuchh na ada ho ba-KHuda
kije gar lakh baras tak ye baya.n aaTh pahar
turfa us jins-e-mohabbat ka bhi sauda dekha
sud mei.n jis ke rahe KHauf-e-ziya.n aaTh pahar
jab se hai hum se juda aah wo rashk-e-mah-o-mahr
munh lapeTe hai.n bas aur hai yahi dhyan aaTh pahar
raat ko raat samajhte hain na hum din ko din
apni aankho.n mei.n hai tarik jaha.n aaTh pahar
in dino.n aap mei.n tujh ko kabhi pate hi nahi.n
kis ka rahta hai ye 'jurat' tujhe dhyan aaTh pahar

******************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 258