donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qamar Jalalabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala *
Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala
Mujhse pahle mere jazbaat samajhne wala 
 
Maine rakha hai hamesha hi tabbassum lab par
Ro diya kyun mere haalaat samajhne wala 
 
Jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha
Ruk gaya tere muqamaat samajhne wala 
 
Jo na samjhe wo banate raha laakhon baatein
Hua khamosh teri baat samajhne wala 
 
Raaz-e-taqdeer pe kya roshni daalega koyi 
Khud sawaali hai sawalaat samajhne wal
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 432