|
* Aey merey hum-nasheen chal kaheen aur chal, is chaman main ab apna guzara nahi *
Aey merey hum-nasheen chal kaheen aur chal, is chaman main ab apna guzara nahi
Baat hoti guloo.n tak tu seh letey hum, ab tu kantoo.n pe bhi huq humara nahi
Aaj aay ho tum kal chaley jao gai ye mohabbat ko apni gawara nahi
Um'r bhar ka sahara bano tu bano do ghari ka sahara, sahara nahi
di sada daar per aur kabhi toor per, kis jagah main nay tum ko pukara nahi
thokarain yoon khilaney sey kiya faida saaf keh do k milna gawara nahi
gulsitaa.n ko lahu ki zarorat peri sab sey pehley hi gardan humaari kati
phir bhi kehtey hain mujh sey ye ehl_e chaman ye chaman hay humara tumhara nahi
Zalimoo.n apni qismat pe nazaa.n na ho dor badley ga ye waqt ki baat hay
Wo yaqeenan suney ga saadain merii kiya tumhara Khuda hay humara nahi
Apni zulfoo.n ko rukh sey hata lejeye, mera zouq_e nazar azma lejeye
aaj ghar sey chala hoon yehi soch kar, ya tu nazrain nahi ya nazara nahi
Janey kis ki lagan kis ki dhun main magan, hum ko jatey howe murr k dekha nahi
hum nay aawaz per tum ko aawaz di, phir bhi kehtey hain hum nay pukara nahi
|
|