donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qamar Jalalwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phir na kehna hum ko naloo.n sey pereshaani hoii *
Phir na kehna hum ko naloo.n sey pereshaani hoii
Khwaab main samjha gai jo baat samjhaani hoii

shaam hi ko zulf suljhaai jo suljhaaii hoi
dekheye wadey ki shab kitni pareshani hoi

baat reh jay gi pohancha do janaza do qadam
tum samajh lena ghari bhar ki pareshaani hoi

teer jhatkey sey na khaincho dekho hum mar jain gai!
tum ye keh kar choot jao gai k nadaani hoi

jab kisi titli nay junbish ki qafas badla gaya!
jab koi bazo main per aaya nigehbaani hoi

barq jab chamki tu dar un ka nazar aaya Qamar!
khair undheri raat main itni tu aasani hoi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342