* Jamal_e rukh pe taherti nahi nazar phir bhi *
Jamal_e rukh pe taherti nahi nazar phir bhi
utaari jati hay un ki nazar guzar phir bhi
koi thikana hay sayyad bad-gumani ka
qafas main qaid hoon kaatey hain merey per phir bhi
malal kar dill_e muztar na un k janey ka
Khuda nay chaha tu aain gagi wo idhar phir bhi
wo keh rahey hain kal aain gai hum, bata tu diya
laga rakhi hay ye tum nay agar magar phir bhi
hazaar aish qafas main sahi wo baat kahan
k apna ghar howa karta hay apna ghar phir bhi!
Qamar ye mana k tum ehtiyaat bartu gai!
kis k rukh sey jo takra gaii nazar phir bhi |