donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qamar Jalalwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mariiz-e-muhabbat u.nhii.n kaa fasaanaa , *
Mariiz-e-muhabbat u.nhii.n kaa fasaanaa ,
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate ,
magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa ,
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate,
iraadaa thaa tark-e-muhabbat kaa lekin ,
fareb-e-tabassum me.n phir aa gaye ham ,
abhii khaake Thokar sambhalane na paaye ,
ki phir khaa_ii Thokar sambhalate sambhalate,
u.nhe.n Khat me.n likhaa thaa dil muztarib hai ,
javaab un kaa aayaa muhabbat na karate ,
tumhe.n dil lagaane ko kisane kahaa thaa ,
bahal jaayegaa dil bahalate bahalate,
vo mehamaa.N rahe bhii to kab tak hamaare ,
hu_ii shammaa gul aur Duube sitaare ,
"Qamar" is qadar un ko jaldii thii ghar kii ,
vo ghar chal diye chaa.Ndanii Dhalate Dhalate.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 343