donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qamar Jalalwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko , *
kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko ,
na jaane kaise Khabar ho ga_ii zamaane ko,
chaman me.n barq nahii.n chho.Datii kisii suurat ,
tarah tarah se banaataa huu.N aashiyaane ko,
sunaa hai Gair kii mahafil me.n tum na jaaoge ,
kaho to aaj sajaa luu.N Ghariib-Khaane ko,
duaa bahaar kii maa.Ngii to itane phuul khile ,
kahii.n jagah na milii mere aashiyaane ko,
chaman me.n jaanaa to sayyaad dekh kar jaanaa ,
akelaa chho.D kar aayaa huu.N aashiyaane ko,
merii lahad pe pata.ngo.n kaa Khuu.N hotaa hai ,
huzuur shammaa na laayaa kare.n jalaane ko,
[lahad=tomb/grave]
dabaa ke chal diye sab qabr me.n duaa na salaam ,
zaraa sii der me.n kyaa ho gayaa zamaane ko,
ab aage is me.n tumhaaraa bhii naam aayegaa,
jo hukm ho to yahii.n chho.D duu.N fasaane ko,
’Qamar’ zaraa bhii nahii.n tujhako Khauf-e-rusavaa_ii ,
chale ho chaa.Ndanii shab me.n u.nhe.n manaane ko.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 384