donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Pahle to apne dil ki raza jaan jaiye, *
Pahle to apne dil ki raza jaan jaiye, 
phir jo nigah e yar kahe maan jaiye, 
Pahle mizaj e rahaguzar jaan jaiye, 
phir gard e rah jo bhi kahe maan jaiye, 
Kuchh kah rahi hai aap ke sine ki dharhkane, 
meri sune'n to dil ka kaha maan jaiye, 
Ik dhup si jami hai nigaho'n ke aas pas, 
ye aap hai'n to aap pe qurban jaiye, 
Shayad huzur se koi nisbat hamay bhi ho, 
aankho'n may jhank kar hamay pahachan jaiye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 349