donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai'n ne puchha pahla patthar mujh par kaun uthayega, *
Mai'n ne puchha pahla patthar mujh par kaun uthayega,
Aayi ik awaz ki tu jis ka mohasin kahalayega,

Puchh sake to puchhe koi ruth ke jane walo'n se,
Roshaniyo'n ko mere ghar ka rasta kaun batayega,

Logo mere sath chalo tum jo kuch hai wo aage hai,
Pichhe murh kar dekhne wala patthar ka ho jayega,

Din may hans kar milne wale chehre saaf batate hai'n,
Ek bhayanak sapna mujh ko sari raat darayega,

Mere bad wafa ka dhoka aur kisi se mat karna,
Gaali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jayega,

Suukh gai jab in ankho'n may pyar ki nili jhil `qateel`,
Tere dard ka zard samandar kaahe shor machayega.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 315