|
* Kiya hai pyar jise hamne zindagi ki tarah, *
Kiya hai pyar jise hamne zindagi ki tarah,
wo aashna bhi mila hamse ajnabi ki tarah,
Barhaa ke pyas meri us ne haath chhor diya,
wo kar raha tha murawwat bhi dillagi ki tarah,
Kise khabar thi barhegi kuchh aur tariki,
chhupega wo kisi badali may chandani ki tarah,
Kabhi na socha tha hamne "Qateel" us ke liye,
karega ham pe sitam wo bhi har kisi ki tarah.
|
|