|
* Jo bhi ghuncha tere hotho'n par khila karta hai, *
Jo bhi ghuncha tere hotho'n par khila karta hai,
wo meri tangi e daman ka gila karta hai,
Der se aaj mera sar hai tere zano'n par,
ye wo rutba hai jo shahon ko mila karata hai,
Mai'n to baitha hu'n dabaye huye tufano'n ko,
tu mere dil ke dharhakne ka gila karta hai,
Raat yo'n chaand ko dekha hai nadi may raksa'n,
jaise jhumar tere mathe pe hila karta hai,
Kaun kafir tujhe ilzam e taghaful dega,
jo bhi karta hai muhabbat ka gila karta hai. |
|