donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ik ik patthar jorh ke mai'n ne jo diwar banai hai, *
Ik ik patthar jorh ke mai'n ne jo diwar banai hai, 
Jhankhu us ke pichhe to ruswai hi ruswai hai,

Yo'n lagta hai sote jagte auro'n ka mohtaj hu'n mai'n, 
Aankhe'n meri apni hai'n par un may nind parai hai,

Dekh rahe hai'n sab hairat se nile nile pani ko, 
Puchhe kaun samandar se tujh may kitni gahrai hai,

Sab kahte hai'n ik jannat utari hai meri dharti par,
Mai'n dil may sochu'n shayad kamzor meri binai hai,

Bahar sahan may perho'n par kuch jalte bujhte jugnu the,
Hairat hai phir ghar ke andar kis ne aag lagai hai,

Aaj hua malum mujhe is shahar ke chand sayano'n se, 
Apani raah badalte rahna sabse bari danai hai,

Torh gaye paiman e wafa is daur may kaise kaise log, 
Ye mat soch `qateel` ki bas ik yar tera harajai hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395