donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil ko gham e hayat gawara hai in dino'n, *
Dil ko gham e hayat gawara hai in dino'n, 
Pahle jo dard tha wahi chara hai in dino'n,

Ye dil zara sa dil teri yado'n may kho gaya, 
Zarre ko andhiyo'n ka sahara hai in dino'n,

Har sail e ashk sahil e taskin hai aaj kal,
Dariya ki mauj mauj kinara hai in dino'n,

Shamo'n may ab nahi hai wo pahle si roshni,
Shayad wo chaand anjuman aara hai in dino'n,

Tum aa sako to shab ko barha du'n kuchh aur bhi, 
Apne kahe may subah ka tara hai in dino'n,

Qurban ho'n jis ke husn pe sau jannate'n `qateel`,
Nazaro'n ke samne wo nazara hai in dino'n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 475