|
* Charagh dil ke jalao ki eid ka din hai, *
Charagh dil ke jalao ki eid ka din hai,
tarane jhum ke gao ki eid ka din hai,
Ghamo'n ko dil se bhulao ki eid ka din hai,
khushi se bazm sajao ki eid ka din hai,
Huzur us ki karo ab salamti ki dua,
sar e namaz jhukao ki eid ka din hai,
Sabhi murad ho puri har ek sawali ki,
dua ko hath uthao ki eid ka din hai.
|
|