donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne hatho'n ki lakiro'n may basale mujhko, *
Apne hatho'n ki lakiro'n may basale mujhko, 
mai'n hu'n tera nasib apna bana le mujhko, 
Mujhse tu puchhne aaya hai wafa ke maani, 
ye teri sadadili maar na dale mujhko ,
Mai'n samandar bhi hu'n moti bhi hu'n gotazan bhi, 
koi bhi naam mera leke bulale mujhko, 
Tune dekha nahi aine se aage kuchh bhi, 
khuda parasti may kahi'n tu na ganwale mujhko, 
Kal ki bat aur hai mai'n ab sa rahu'n ya na rahu'n, 
jitna ji chahe tera aaj satale mujhko, 
Khud ko mai'n bant na dalu'n kahi'n daman daman, 
kar diya tune agar mere hawale mujhako, 
Main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman, 
main hun gar phul to jure may sajale mujhako, 
Main khule dar ke kisi ghar ka hun saman pyare, 
tu dabe panw kabhi ake churale mujhako, 
Tark e ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam, 
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhako, 
Bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel", 
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhako.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 409