|
* Tumhari anjuman se uTh ke diwane kaha'n jate, *
Tumhari anjuman se uTh ke diwane kaha'n jate,
Jo wabasta hue tum se wo afsane kaha'n jate,
Nikal kar dair-o-kaba se agar milata na maiKhana,
To Thukaraye hue insan Khuda jane kaha'n jate,
Tumhari beruKhi ne laj rakh li badaKhane ki,
Tum ankho'n se pila dete to paimane kaha'n jate,
Chalo achcha hua kam a gai diwanagi apni,
Wagarna ham zamane bhar ko samjhane kaha'n jate,
`Qateel` apna muqadar Gham se begana agar hota,
Phir to apne-paraye hamse pahachane kaha'n jate. |
|