|
* Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare, *
Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare,
Mai'n tujh ko bhuul ke zinda rahu'n Khuda na kare,
Rahega saath tera pyar zindagi bankar,
Yeh aur baat meri zindagi wafa na kare,
Yeh Thik hai nahi'n marta koi judai mai'n,
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare,
Suna hai usko mohabbat duaye'n deti hai,
Jo dil pe choT to khaye magar gila na kare,
Zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use,
"Qateel" jan se jaye par iltaja na kare. |
|