dil mei.n apne nahi.n koi juz-yar
laisa-fiddar-e-ghairahu dayyar
kufr o din se nahi.n kuchh aap ko bahs
sar-e-tasbih o gardan-e-zunnar
dagh-e-ashk aastin se uDte hai.n
muft jati hai hath se ye bahaar
hum wo aafat-e-talab hai.n hai jin ko
zakhm-e-shamshir marham-e-zangar
yaad mei.n kis ki raat roya hu.n
gharq-e-khuu.n hai hanuz jeb-o-kanar
aah kya kije zulf o rukh us ka
chit chaDha hi rahe hai lail o nahaar
naseha tark kije kis kis ka
jite-ji ko to sab kuchh hai darkar
ishq-bazi ko kya karega tu
go ki chhoDa mai.n ek sharab o qimar
hum ne dekha hai dagh-e-dil 'qayem'
waqina rabbana azabannar
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸