durd pi lete hain aur dagh pacha jate hai.n
yan bala-nosh hai.n jo aae chaDha jate hai.n
dekh kar tum ko kahi.n dur gae hum lekin
Tuk Thahar jao to phir aap mei.n aa jate hai.n
jab talak panw mei.n chalne ki hai taqat baqi
haal-e-dil aa ke kabhu tujh ko dikha jate hai.n
ishq ka kyu.nki buta.n se kare ikhfa koi
Dhab se nazro.n mei.n ye kafir wahi.n pa jate hai.n
tarah soza.n ki jo hai.n rishta-e-ulfat mei.n phanse
jis taraf sair kare.n ru-ba-qaza jate hai.n
kaun ho ghuncha-sifat apne saba ka marhu.n
jaise tang aae the waise hi khafa jate hai.n
rahiyo hushiyar tu lap-jhap se buta.n ki 'qayem'
baat ki baat mei.n wa.n dil ko uDa jate hai.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸