donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* mai.n na wo hu.n ki tanik ghusse mei.n Tal jau.nga *

mai.n na wo hu.n ki tanik ghusse mei.n Tal jau.nga

hans ke tum baat karoge mai.n bahal jau.nga

ham-nashi.n kijiyo taqrib to shab-bashi ki

aaj kar nashsha ka hila mai.n machal jau.nga

dil mere zoaf pe kya rahm tu khata hai ki mai.n

jaan se ab ki bacha hu.n to sambhal jau.nga

sair us kuche ki karta hu.n ki jibril jaha.n

ja ke bola ki bas ab aage mai.n jal jau.nga

tang hu.n mai.n bhi ab is jine se ai ji na ruka

ja nikal ja jo tu kahta hai nikal jau.nga

shor-e-mahshar se hai parwa mujhe kya ai waiz

jab ki ham-rah liye dil sa khalal jau.nga

shokhi se pahu.nchiye ju.n hind mei.n tuti 'qayem'

aage 'sauda' ke mai.n le kar ye ghazal jau.nga


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 154