malum kuchh hua hi na dil ka asar kahi.n
aisa gaya ki pher na pai khabar kahi.n
aalam mei.n hai.n asir mohabbat ke har kahi.n
lekin sitam kisu pe nahi.n is qadar kahi.n
kholi thi chashm-did ko teri pa ju.n hubab
apne tain mai.n aap na aaya nazar kahi.n
jun ghuncha fikr jama na kar Tuk tu gul ko dekh
qismat ki kho sake hai pareshani zar kahi.n
rahne do meri nash ko ho jae ta-ghubar
le jaegi uDa ke nasim-e-sahar kahi.n
masraf hai sab ye baalish-e-sayyaad ka tere
bismil na bhariyo khuu.n se tu baal-o-par kahi.n
roti hai kya gulo.n ko tu shabnam idhar to dekh
TukDe hai is tarah se kisi ka jigar kahi.n
karta tha kal gali mei.n wo apni khiram-e-naz
is mei.n jo aa ke paDti hai mujh par nazar kahi.n
kahne laga ye dekh ke ahwal ko mere
bad-nam tu kisi ke tain ya.n na kar kahi.n
kya hattiya tujhe yahi.n deni hai ai aziz
itna paDa hai mulk-e-khuda ja ke mar kahi.n
'qayem' ye faiz-e-sohbat-e-'sauda' hai warna mai.n
tarhi ghazal se 'mir' ki aata tha bar kahi.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸