donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* mange hai tere milne ko be-tarah se dil aaj *

mange hai tere milne ko be-tarah se dil aaj

kal kya hai jo milna hai meri jaa.n tu mil aaj

phir subh se aashob-e-qayamat hai jaha.n mei.n

chehre pe tere kin ne banaya hai ye til aaj

ai girya tu khatir se meri kijo na sarfa

mai.n khuun-e-dil-khasta kiya tujh pe bahil aaj

chahe hai agar kal ko teri nashw-o-numa ho

dil khol ke dane ki tarah khak mei.n ril aaj

kya sina jo taDpho.n ko nigah ki teri jhele

is tir se rah jae na faulad ki sil aaj

ya-rab na paDe asl se apni koi ya.n dur

ye aab tha sab jitni ki dekhe hai tu gil aaj

'qayem' ye ghazab kal to na TuTe tha tere par

dekha hai kahi.n tin wo but-e-mehr-gusil aaj


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 128