na dil bhara hai na ab nam raha hai aankho.n mei.n
kabhu jo roe the khuu.n jam raha hai aankho.n mei.n
mai.n mar chuka hun pe tere hi dekhne ke liye
habab-war tanik dam raha hai aankho.n mei.n
muwafaqat ki bahut shahriyo.n se mai.n lekin
wahi ghazal abhi ram raha hai aankho.n mei.n
wo mahw hu.n ki misal-e-habab-e-aina
jigar se ashk nikal tham raha hai aankho.n mei.n
basan-e-ashk hai 'qayem' tu jab se aawara
waqar tab se tera kam raha hai aankho.n mei.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸