na kah ki be-asar anfas-e-sard hote hai.n
mujhi se kya koi sab ahl-e-dard hote hai.n
hawas hai ishq ki ahl-e-hawa ko hum to miya.n
sune se nam mohabbat ka zard hote hai.n
mata-e-qahba-e-duniya pe kar na chashm-e-siyah
ki mal-e-zan nahi.n khate jo mard hote hai.n
ye lat tujhi ko hai pyare wagarna kya koi
jo khuub-ru hai.n wo sab kucha-gard hote hai.n
muhit-e-wasl ko pahu.nche hai.n wo koi 'qayem'
jo tarah sail ke sahra-naward hote hai.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸