aawe khiza.n chaman ki taraf gar mai.n ru karu.n
ghuncha kare gulo.n ko saba gar mai.n bu karu.n
aazurda is chaman mei.n hu.n manind-e-barg-e-khushk
chheDe jo Tuk nasim mujhe sau ghulu karu.n
aankho.n se jae ashk giri.n gul chaman chaman
manzur girya gar mai.n tera rang-o-bu karu.n
aaya hu.n para-dozi-e-dil se nipaT ba-tang
aise phaTe hue ko mai.n kab tak rafu karu.n
kya aarzu ki khak mei.n apni mile.n na ya.n
kis ru se ab falak se mai.n kuchh aarzu karu.n
kahta hai aaina ki hai tujh sa hi ek aur
bawar nahi.n to la mai.n tere ru-ba-ru karu.n
sare hi is chaman se hawa-khwah uTh gae
rou.n gulo.n ko ya mai.n gham-e-rang-o-bu karu.n
'qayem' ye ji mei.n hai ki taqayyud se shaikh ki
ab ke jo mai.n namaz karu.n be-wazu karu.n
********************