donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ab ke jo yaha.n se jae.nge hum *

ab ke jo yaha.n se jae.nge hum

phir tujh ko na munh dikhae.nge hum

mushkil hai na aana tujh gali mei.n

par ye bhi sahi na aae.nge hum

jo aage kaha kiye hai.n tujh se

so ab ke wo kar dikhae.nge hum

aisa hi jo dil na rah sakega

Tuk dur se dekh jae.nge hum

han kyu.n na mile.nge tujh se zalim

jab galiye.n nit ki khae.nge hum

aazurda ho ghair se la do ya.n

is ohde se kab bar aae.nge hum

jine hi se hath uThae.nge lek

baate.n na teri uThae.nge hum

gar zist hai tujh talak to phir kya

sadqe tere mar hi jae.nge hum

ab kuche mei.n tere hi pyare

kisi aur se ji lagae.nge hum

jun chahiye chah ka sarishta

jite hain to kar dikhae.nge hum

is par bhi agar mile.nge khair

'qayem' hi na phir kahae.nge hum


********************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 133