donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ab tu ne gul na gulsita.n hai yaad *

ab tu ne gul na gulsita.n hai yaad

usi mukhDe ki har zama.n hai yaad

ham-nashi.n kah le qissa-e-majnu.n

hum ko bhi dil ki dasta.n hai yaad

ghuncha kaTe tha jis ko dekh ke lab

kyu.n saba tujh ko wo waha.n hai yaad

mustaqil murgh-e-dil jo taDpe hai

kis ki sine mei.n par-fisha.n hai yaad

sabaq-e-girya ashk ko kya du.n

aap hi is tifl ko rawa.n hai yaad

gul se kya mukhtalit hu.n ai bulbul

mujh ko wo aafat-e-khizaa.n hai yaad

aah ai charkh-e-peer, 'qayem' nam

ya.n jo rahta tha ek jawa.n hai yaad

****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 149