donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qurban Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* chand k sath kai dard purane nikle *
chand k sath kai dard purane nikle
kitne gham they jo tere gham ke bahane nikle
 
fasl e gul ayi phir ik bar asiraan e wafa
apne hi khoon k dariya main nahane nikle
 
hijr ki chot ajab sang shikan hoti hai
dil ki befaiz zaminon se khazane nikle
 
umr guzri hai shab e taar main ankhain malte
kis ufaq se mera khursheed na jane nikle
 
ku e qatil main chale jaise shaheedon ka juloos
Khowab yun bheegti ankhon ko sajane nikle
 
dil ne ik eent se tameer kiya taj mahal
tu ne ik bat kahi lakh fasane nikle
 
dasht e tanhai e hijraan main khara sochta hun
haye kya log mera sath nibhane nikle
 
main ne Amjad usey bevaasta dekha hi nahi
wo to Khushbu main bhi aahat ke bahane nikle..X..
*****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 375