donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qurban Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon Aur Apne Markaz Ko Ja Raha Hoon... *
Hum Apni Sham Ko Jab Nazar E Jam Karte Hein Adab Se Humko Sitare Salam Karte Hein
Sajen Kiyoon Naise Yeh Saraye Hai Dil Ki Yahan Hasin Musafir Qayam Karte Hein
 
Dil Ko Kaise Bata Tasali Doon Chain Is Ko Agar Nahi Aata Chashm E Purnam Ko Kaise Samjhaon Is Ko Agar Tu Nazar Nahi Aata
 
Bujhi Huwi Shama Ka Dhuwan Hoon Aur Apne Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai Aap Apni Hasti Mita Raha Hoon
 
Teri Hi Soorat Ke Dekhne Ko Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Ke Khoobiyan Sub Ki Jama Ker Ke Tera Tasawar Jama Raha Hoon
 
Kafan Mein Khud Ko Chupa Diya Hai Ke Tujhko Parde Ki Hona Zemat
Naqab Apne Liye Bana Ker Hijab Tera Utha Raha Hoon
 
Muhabbat Insan Ki Hai Fitrat Kahan Hai Imkan E Tark E Ulfat
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahe Hein Mein Unko Jitna Bhula Raha Hoon
 
Zuban Pe Labek Her Nafaz Mein Jabin Pay Sajda Hai Her Qadam Pe
Yoon Ja Raha But-Kade Ko Natik Ke Jaise Kabey Ko Ja Raha Hoon
 
Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon Aur Apne Markaz Ko Ja Raha Hoon...
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 479